Mera Mann
Kagaz ki kashtiyo pe dube yeh mann Laheron ki uchak mein khoya yeh mann Hawa ki har sannan pe jhoom uthe yeh mann Koyal ke kuk mein bhi bheka yeh mann
Tere, mere bolne se darta hai Door khada uss rrat se jagadta hai sadak pe chalte bacche ko sehekata hai kabhi kabhi mandir ki bhi ghanti baja ta hai
kursi pe baita nahi, table se chalang laga ta hai tube light ke tezz mein sehma sa woh jata hai bhook lagi toh zor awaaz lagata hai mummy ke daat se bhaag ta chala aata hai
hum dono ke pyaar khoya sa reh jata hai un dono ki aar, mein zor se hasi lagata hai har tewhaar, khul ke woh manata hai Diwali hoya Eid, har jashn mein khushi de jata hai..
- Adarsh Singh
Comments
Post a Comment